Header Ads Widget

Shayari on Caste System in Hindi

Shayari on Caste System in Hindi

 

ज़माना चाहे कितना भी आगे पहुँच गया हो

पर आज भी जात की बातें होती है

पहले सरे आम होती थी

अब बस चार दीवारों के अंदर होती है


Zamana Chahe Kitna Bhi Aage Pahunch Gaya Ho

Par Aaj Bhi Jaat Ki Baatein Hoti Hai

Pehle Sare Aam Hoti Thi

Ab Bas Chaar Deewaron Ke Andar Hoti Hai










Shayari on Caste System in Hindi



जाति की बली न चढ़ाओ यूँ मासूमों को

थोड़ी तो इज़्ज़त दो खुदा के बनाए इस कायनात को

जब ऊपरवाले ने फर्क ना किया इंसानों में

तुम कौन हो इंसानियत को जाति के रंग में रंगने को


Jaati Ki Bali Na Chadao Yun Masumon Ko

Thodi Toh Izzat Do Khuda Ke Baanaye Iss Kayanat Ko

Jab Uparwale Ne Farak Na Kiya Insano Mein

Tum Kaun Ho Insaniyat Ko Jaati Ke Rang Mein Rangne Ko















Shayari on Caste System in Hindi



जाति के रंग में लोग यूँ रंग जाते हैं

की सर्वोपरि जाति मानव जाति को ही भूल जाते हैं


Jaati Ke Rang Mein Log Yun Rang Jaate Hain

Ki Sarvopari Jaati Manav Jaati Ko Hi Bhul Jaate Hain
















Shayari on Caste System in Hindi


खाना खाते वक़्त पूछा नहीं

किस जाति के आदमी ने बनाया है

पर किसी का खाना छीनने की

बारी आई तो जाति याद आ गई


Khaana Khaate Waqt Poocha Nahin

Kis Jaati Ke Aadmi Ne Banaya Hai

Par Kisi Ka Khana Chinne Ki

Baari Aayi Toh Jaati Yaad Aa Gayi



















Shayari on Caste System in Hindi


जाति के नाम पर इंसान यूँ एक दूसरे से उलझते हैं

जैसे खून में जाति का नाम लिखाके आते हैं

Jaati Ke Naam Par Insaan Yun Ek Doosre Se Ulajhte Hain

Jaise Khoon Mein Jaati Ka Naam Likhake Aate 
Hain

Post a Comment

0 Comments