यूँ ना बहा अपने कीमती आँसू
अपने जज़्बात पर थोड़ा कर तू काबू
तुझे डराने वाली इस ज़िन्दगी को
दिखा दे अपने हौसलों का जादू
Yun Na Baha Apne Keemti Aansu
Apne Jazbaat Par Thoda Kar Tu Kaboo
Tujhe Darana Waali Iss Zindagi Ko
Dikha De Apne Hoslon Ka Jadoo
थक चुके हैं दर्द को दफ़न करते हुए
आँसू भी सुख गए बहते हुए
कब मिलेगी आज़ादी उन यादों से
जिनको लिए जिये जा रहे हैं हम तड़पते हुए
Thak Chuke Hain Dard Ko Dafan Karte Huye
Aansu Bhi Shuk Gaye Behte Huye
Kab Milegi Aazadi Unn Yaadon Se
Jinko Liye Jiye Jaa Rahe Hain Hum Tadapte Huye
क्यों यह आँसू इतने फरेबी होते हैं
अपनो के सामने छुप से जाते हैं
Kyon Yeh Aansu Itne Farebi Hote Hain
Apno Ke Saamne Chup Se Jaate Hain
आँसू का कोई वक़्त नही होता
बह जाता है यह आंखों से
जब भी किसी का दिल है पिघलता
कभी गम में तो कभी खुशी में
हर हाल में यह अपनी जगह ढूंढ लेता
Aansu Ka Koi Waqt Nahin Hota
Beh Jaata Hai Yeh Aankhon Se
Jab Bhi Kisi Ka Dil Hai Pighalta
Kabhi Gam Mein Toh Kabhi Khushi Mein
Har Haal Mein Yeh Apni Jagah Dhoond Leta
0 Comments