Header Ads Widget

Hindi Shayari on Mobile Addiction

Hindi Shayari on Mobile Addiction

 

अकेलेपन को दूर करने के लिए मोबाइल का सहारा मिला

बिना पहचान के ही दोस्तों का काफ़िला बना

दुनिया जहाँ से खुदको जुदा करके

एक छोटे से स्क्रीन में इंसान को अपना आशियाना मिला


Akelepan Ko Dur Karne Ke Liye Mobile Ka Sahara Mila

Bina Pehchaan Ke Hi Doston Ka Kaafila Bana

Duniya Jahan Se Khudko Judaa Karke

Ek Chote Se Screen Mein Insaan Ko Apna Aashiyana Mila















Hindi Shayari on Mobile Addiction


काट लेते हैं खुशी से अपना सारा वक़्त मोबाइल के साथ

इच्छा नही होती रिश्तेदारों से करने की बात

सोशल मीडिया में तो मीठी मीठी बातें कर लेते हैं

पर चिढ़ जाते हैं वही जब अपने सुनाते हैं बुरे हालात


Kaat Lete Hain Khushi Se Apna Saara Waqt Mobile Ke Saath

Iccha Nahin Hoti Rishtedaaron Se Karne Ki Baat

Social Medoa Mein Toh Mithi Mithi Baatein Kar Lete Hain

Par Chid Jaate Hain Wohi Jab Apne Sunate Hain Bure Haalat














Hindi Shayari on Mobile Addiction


ज़िन्दगी से कुछ यूँ निराश हो जाते हैं

की मोबाइल को ही ज़िन्दगी बना लेते हैं

चंद पलों की झूठी खुशी के लिए

ना जाने अपने कितने अहम वक़्त गवा देते हैं


Zindagi Se Kuch Yun Niraas Ho Jaate Hain

Ki Mobile Ko Hi Zindagi Bana Lete Hain

Chand Palon Ki Jhooti Khushi Ke Liye

Naa Jaane Apne Kitne Aham Waqt Gawa Dete Hain














Hindi Shayari on Mobile Addiction


हर वक़्त बस मोबाइल देखने की तलब रहती है

आँखें किताबों में टिकती ही नहीं

पढ़ाई को तो टाल देते हैं

पर मोबाइल की एक नोटिफिकेशन भी मिस होती नहीं


Har Waqt Bas Mobile Dekhne Ki Talab Rehti Hai

Aankhein Kitabon Mein Tikti Hi Nahi

Padhaai Ko Toh Taal Dete Hain

Par Mobile Ki Ek Notification Bhi Miss Hoti Nahin

Post a Comment

0 Comments