रिश्ता तो दिल से शुरू हुआ था
फिर खत्म करने के लिए कागज़ की क्या ज़रूरत थी
ऐ खुदा अगर तलाक ही था मुक्कदर में
तो उस कमज़र्फ से मुलाक़ात करवाने की क्या ज़रूरत थी
Rishta Toh Dil Se Shuru Hua Tha
Fir Khatam Karne Ke Liye Kaagaz Ki Kya Zaroorat Thi
Ae Khuda Agar Talaaq Hi Tha Mukaddar Mein
Toh Uss Kamzarf Se Mulaqat Karwane Ki Kya Zaroorat Thi
तलाक एक ऐसा शब्द जो दो इंसानों को नही
दो परिवारों की उम्मीद को तोड़ देता है
कानूनी तौर से तो अलग हो जाते हैं
पर ज़िन्दगी भर एक खट्टास रह जाता है
Talaaq Ek Aisa Shabd Jo Do Insano Ko Nahin
Do Pariwaron Ki Umeed Ko Tod Deta Hai
Kanooni Taur Se Toh Alag Ho Jaate Hain
Par Zindagi Bhar Ek Khattas Reh Jaata Hai
उन बच्चों का क्या जो तलाक की वजह से अपने घर को टूटते हुए देखते हैं
उनके सबसे खास माँ बाप के प्यार को बिखरा हुआ पाते हैं
बचपन मे तलाक का यह मंज़र देखके
शादी की सोच से नफ़रत करने लगते हैं
Unn Bacchon Ka Kya Jo Talaak Ki Wajah Se Apne Ghar Ko Tootte Huye Dekhte Hain
Unke Sabse Khaas Maa Baap Ke Pyaar Ko Bikhra Hua Paate Hain
Bachpan Mein Talaaq Ka Yeh Manzar Dekhke
Shaadi Ki Soch Se Nafrat Karne Lagte Hain
0 Comments