जिस ज़िन्दगी की कीमत उम्र भर समझ नहीं आती
मौत की दस्तक उन आखरी साँसों मे है सीखा देती
गुमान था जिनको अपने रुतबे और दौलत पे
अहमियत ज़िन्दगी की उन्हें समझ मे आ जाती
Jis Zindagi Ki Keemat Umra Bhar Samajh Nahin Aati
Maut Ki Dastak Unn Aakhri Saanson Mein Hai Seekha Deti
Gumaan Tha Jinko Apne Rutbe Aur Daulat Pe
Ahmiyat Zindagi Ki Unhe Samajh Mein Aa Jaati
खौफ कैसा है यह मौत का
जो एकलौता सच है इस दुनिया का
असली सबक तो मौत ही सीखती है
फिर क्यों इतना घमंड इस ज़िन्दगी का
Khauff Kaisa Hai Yeh Maut Ka
Jo Eklauta Sach Hai Iss Duniya Ka
Asli Sabak Toh Maut Hi Sikhati Hai
Phir Kyon Itna Ghamand Iss Zindagi Ka
0 Comments