मुट्ठी भर रोशनी अभी भी बची है उम्मीदों मे
हार से हाथ मिलाने का नही है कोई इरादा
झोंककर अपने साँसों का हर एक कतरा
पूरा करेंगे ख्वाबों को हक़ीक़त का मंजर दिखाने का वादा
Mutthi Bhar Roshni Abhi Bhi Bachi Hai Umeedon Mein
Haar Se Haath Milane Ka Nahi Hai Koi Irada
Jhonkkar Apne Saanson Ka Har Ek Katra
Poora Karenge Khwabon Ko Haqeeqat Ka Manzar Dikhane Ka Waada
ठोकर भले कितने भी दे किस्मत
उम्मीदों की मशाल कभी ना बुझेगी
मुट्ठी भर रोशनी बाकी है हौसलों में
इसके बलबूते पे ही मेरी नसीब करवट लेगी
Thokar Bhale Kitne Bhi De Kismat
Umeedon Ki Mashaal Kabhi Naa Bujhegi
Mutthi Bhar Roshni Baaki Hai Hoslon Mein
Iske Balboote Pe Hi Meri Naseeb Karwat Legi
बिखरे हैं ज़रूर कुछ ख्वाब
पर उस राह से मोहब्बत आज भी जारी है
ठोकरों के अंधकार से भिड़ने के लिए
उम्मीद की मुट्ठी भर रोशनी जो काफी है
Bikhre Hain Zaroor Kuch Khwaab
Par Uss Raah Se Mohabbat Aaj Bhi Jaari Hai
Thokron Ke Andhkaar Se Bhidne Ke Liye
Umeed Ki Mutthi Bhar Roshni Jo Kaafi Hai
0 Comments